Home » Drama OST » Talkhiyan OST – Mehwish Hayat, Waqar Ali Talkhiyan OST – Mehwish Hayat, Waqar Ali
Music : Waqar Ali
Lyrics : Sahir Ludhyanvi
Bee GUL
Singer : Mehwish Hayat , Waqar Ali
Narration : Khalid Ahmad
D.O.P : Naveed Malik
Editor : Faizan Imtiaz
Writer :
Bee GUL
Director : Khalid Ahmad
Producer : Raziuddin Ahmed
PIVOT Productions
Bee GUL
Singer : Mehwish Hayat , Waqar Ali
Narration : Khalid Ahmad
D.O.P : Naveed Malik
Editor : Faizan Imtiaz
Writer :
Bee GUL
Director : Khalid Ahmad
Producer : Raziuddin Ahmed
PIVOT Productions
Lyrics Of Talkhiyan OST – Mehwish Hayat, Viqar Ali
Apne Maazi Ke Tasawwur Se Hiraan See Hoon Main
Apne Guzre Huye Aiyaam Se Nafrat Hai Mujhe
Apne Guzre Huye Aiyaam Se Nafrat Hai Mujhe
Apni Bekar Tamannaon Pe Sharminda Hoon
Apni Besood Umeedon Pe Nidamat Hai Mujhe
Apni Besood Umeedon Pe Nidamat Hai Mujhe
Mere Maazi Ko Andhere Mein Daba Rahne Do
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuchhbhi Nahin
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuchhbhi Nahin
Meri Ummeedon Ka Hasil, Meri Kaawish Ka Sila
Ek Be Naam Aziyat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin
Ek Be Naam Aziyat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin
Kitni Bekar Umeedon Ka Sahara Lekar
Main Ne Aiwan Sajaye The Kisi Ki Khatir
Main Ne Aiwan Sajaye The Kisi Ki Khatir
Kitni Be Rabt Tamannaon Ke Mubham Khake
Apne Khwabon Mein Basye The Kisi Ki Khatir
Apne Khwabon Mein Basye The Kisi Ki Khatir
Mujh Se Ab Meri Mohabbat Ke Fasane Na Kaho
Mujhko Kahnedo Ke Mainne Unhen Chaha Hi Nahin
Mujhko Kahnedo Ke Mainne Unhen Chaha Hi Nahin
Aur Woh Mast Nigahen Jo Mujhe Bhool Gayeen
Main Ne Un Mast Nigahon Ko Saraha Hi Nahin
Main Ne Un Mast Nigahon Ko Saraha Hi Nahin
Mujhko Kahne Do Ki Main Aaj Bhi Ji Saktee Hoon
Ishq Nakam Sahi , Zindgi Nakam Nahin
Ishq Nakam Sahi , Zindgi Nakam Nahin
Unko Apnane Ki Khwahish, Unhen Paane Ki Talab
Shauq Bekar Sahi, Saiye Ghum Anjam Nahin
Shauq Bekar Sahi, Saiye Ghum Anjam Nahin
Wohi Kushboo, Wohi Nazrein, Wohi Aariz, Wohi Jism
Mainjo Chahoon To Mujhe Aur Bhi Mil Saktein Hain
Mainjo Chahoon To Mujhe Aur Bhi Mil Saktein Hain
Woh Kanwal Jinko Kabhi Un Ke Liye Khilna Tha
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil Saktein Hain
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil Saktein Hain
Comments
Post a Comment